tera rasta bhi dekhta hai bahut
terā rasta bhī dekhtā hai bahut
tujh se ik shaḳhs jo ḳhafā hai bahut
chāhtā tujh se kuchh nahīñ lekin
dil tujhe ab bhī chāhtā hai bahut
isti.āra na ho ye duurī kā
tū mire paas aa chukā hai bahut
dekh kar ḳhālī rāste meñ charāġh
aaj kyā yaad aa rahā hai bahut
pattī pattī bikher de na kahīñ
jo mujhe phuul bhejtā hai bahut
tera rasta bhi dekhta hai bahut
tujh se ek shaKHs jo KHafa hai bahut
chahta tujh se kuchh nahin lekin
dil tujhe ab bhi chahta hai bahut
istiara na ho ye duri ka
tu mere pas aa chuka hai bahut
dekh kar KHali raste mein charagh
aaj kya yaad aa raha hai bahut
patti patti bikher de na kahin
jo mujhe phul bhejta hai bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.