tera sach hai tere azabon mein
terā sach hai tire azāboñ meñ
jhuuT likkhā hai sab kitāboñ meñ
ek se mil ke sab se mil liije
aaj har shaḳhs hai naqāboñ meñ
terā milnā tirā nahīñ milnā
ek rasta ka.ī sarāboñ meñ
un kī nākāmiyoñ ko bhī giniye
jin kī shohrat hai kāmyāboñ meñ
raushnī thī savāl kī had tak
har nazar kho ga.ī javāboñ meñ
tera sach hai tere azabon mein
jhuT likkha hai sab kitabon mein
ek se mil ke sab se mil lije
aaj har shaKHs hai naqabon mein
tera milna tera nahin milna
ek rasta kai sarabon mein
un ki nakaamiyon ko bhi giniye
jin ki shohrat hai kaamyabon mein
raushni thi sawal ki had tak
har nazar kho gai jawabon mein
- Book : Sheher Men Gaon (Pg. 300)
- Author : Nida Fazli
- Publication : Miaar Publications (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.