tera shewa hai idhar dekh masihai kar
terā sheva hai idhar dekh masīhā.ī kar
zaḳhm phir khulne lage Thiik se turpāī kar
maiñ tujhe dekh nahīñ saktā ye baat aur magar
ik jhalak hī sahī zaa.e.a mirī bīnā.ī kar
terī nisbat se vo ab merī qayādat meñ hai
maiñ ne majnūñ se kahā bhī thā ki aguvā.ī kar
maiñ na kahtā thā nigāheñ na milā dil na gañvā
ab jo ho paa.e to nuqsān kī bharpā.ī kar
qaisiyat sang kī barsāt meñ nahlātī hai
zeb hai tujh ko mirī jaan tū lailā.ī kar
aur maiñ aql ke taabe nahīñ rah saktā ab
aa mire sar meñ samā jā mujhe saudā.ī kar
yūsuf-e-misr kā ḳhāliq bhī milegā tujh ko
ḳhud meñ paidā zarā andāz-e-zuleḳhā.ī kar
tū bhī hañs de kabhī majzūb ke pahnāve par
tū bhī ḳhud ko kisī din merā tamāshā.ī kar
terī furqat mirī shādābī ko khā jā.egī
mujh ko hargiz na asīr-e-ġham-e-tanhā.ī kar
tera shewa hai idhar dekh masihai kar
zaKHm phir khulne lage Thik se turpai kar
main tujhe dekh nahin sakta ye baat aur magar
ek jhalak hi sahi zaea meri binai kar
teri nisbat se wo ab meri qayaadat mein hai
main ne majnun se kaha bhi tha ki aguwai kar
main na kahta tha nigahen na mila dil na ganwa
ab jo ho pae to nuqsan ki bharpai kar
qaisiyat sang ki barsat mein nahlati hai
zeb hai tujh ko meri jaan tu lailai kar
aur main aql ke tabe nahin rah sakta ab
aa mere sar mein sama ja mujhe saudai kar
yusuf-e-misr ka KHaliq bhi milega tujh ko
KHud mein paida zara andaz-e-zuleKHai kar
tu bhi hans de kabhi majzub ke pahnawe par
tu bhi KHud ko kisi din mera tamashai kar
teri furqat meri shadabi ko kha jaegi
mujh ko hargiz na asir-e-gham-e-tanhai kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.