tera wada hai sabab dil ke bahal jaane ka
terā va.ada hai sabab dil ke bahal jaane kā
mausam hijr meñ har phuul ke khil jaane kā
ḳhāmushī aag lagātī hai mire chāroñ or
mujh ko afsos hai alfāz ke jal jaane kā
qatl gāhoñ meñ rakhe aa.ine dekhe to kahā
kitnā sāmān thā qātil ke dahal jaane kā
umr-e-rafta ke har ik taaq pe jaltā hai diyā
tum se milne kā bichhaḌne kā sambhal jaane kā
mausam-e-hijr ho yā vasl kī vo raat hasīñ
'sīmā' dhaḌkā sā lagā rahtā hai Dhal jaane kā
tera wada hai sabab dil ke bahal jaane ka
mausam hijr mein har phul ke khil jaane ka
KHamushi aag lagati hai mere chaaron or
mujh ko afsos hai alfaz ke jal jaane ka
qatl gahon mein rakhe aaine dekhe to kaha
kitna saman tha qatil ke dahal jaane ka
umr-e-rafta ke har ek taq pe jalta hai diya
tum se milne ka bichhaDne ka sambhal jaane ka
mausam-e-hijr ho ya wasl ki wo raat hasin
'sima' dhaDka sa laga rahta hai Dhal jaane ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.