tera wada jhuTa nikla
terā va.ada jhūTā niklā
hijr hī āḳhir sachchā niklā
merā aanā dil meñ tere
tez havā kā jhoñkā niklā
ham ne ḳhud ko barsoñ dekhā
sirf nazar kā dhoka niklā
maiñ ne jis ko yaad kiyā thā
tere haath kā likkhā niklā
indar kī ḳhāmoshī TuuTī
dil se shor-sharāba niklā
maiñ samjhā tū dukh bāñTegā
tū bhī ġham kā maarā niklā
jis ke ḳhauf se bhaag rahā thā
vo apnā hī saaya niklā
tera wada jhuTa nikla
hijr hi aaKHir sachcha nikla
mera aana dil mein tere
tez hawa ka jhonka nikla
hum ne KHud ko barson dekha
sirf nazar ka dhoka nikla
main ne jis ko yaad kiya tha
tere hath ka likkha nikla
indar ki KHamoshi TuTi
dil se shor-sharaba nikla
main samjha tu dukh banTega
tu bhi gham ka mara nikla
jis ke KHauf se bhag raha tha
wo apna hi saya nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.