tera ye lutf kisi zaKHm ka unwan na ho
terā ye lutf kisī zaḳhm kā unvān na ho
ye jo sāhil sā nazar aatā hai tūfān na ho
kyā balā shahr pe TuuTī hai ḳhudā ḳhair kare
yuuñ sar-e-shām koī dasht bhī vīrān na ho
rang ḳhushbū se judā ho to bikhar jaatā hai
dekhne vaale mire haal pe hairān na ho
baat bantī hai to phir aap hī ban jaatī hai
itnī māyūs muqaddar se mirī jaan na ho
siikh is shahr meñ jiine kā salīqa 'amjad'
koī martā hai mare, aap kā nuqsān na ho
tera ye lutf kisi zaKHm ka unwan na ho
ye jo sahil sa nazar aata hai tufan na ho
kya bala shahr pe TuTi hai KHuda KHair kare
yun sar-e-sham koi dasht bhi viran na ho
rang KHushbu se juda ho to bikhar jata hai
dekhne wale mere haal pe hairan na ho
baat banti hai to phir aap hi ban jati hai
itni mayus muqaddar se meri jaan na ho
sikh is shahr mein jine ka saliqa 'amjad'
koi marta hai mare, aap ka nuqsan na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.