tere aane ki KHabar aane lage
tere aane kī ḳhabar aane lage
ḳhushk peḌoñ par samar aane lage
rāt-bhar yuuñ dil meñ Dar aane lage
jaise koī apne ghar aane lage
ab zamīñ uupar dikhā.ī de tujhe
āsmāñ nīche nazar aane lage
aap bhī apnā nishāna ban ga.e
tiir muḌ muḌ kar idhar aane lage
gaañv se jaate parinde dekh kar
har shajar kī aañkh bhar aane lage
apnī mahrūmī chhupāne ke liye
poñchh kar aañsū vo ghar aane lage
tere aane ki KHabar aane lage
KHushk peDon par samar aane lage
raat-bhar yun dil mein Dar aane lage
jaise koi apne ghar aane lage
ab zamin upar dikhai de tujhe
aasman niche nazar aane lage
aap bhi apna nishana ban gae
tir muD muD kar idhar aane lage
ganw se jate parinde dekh kar
har shajar ki aankh bhar aane lage
apni mahrumi chhupane ke liye
ponchh kar aansu wo ghar aane lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.