tere aane ki KHabar deti rahi pagal hawa
tere aane kī ḳhabar detī rahī pāgal havā
tujh talak merī hayā le kar ga.ī pāgal havā
dhuup kachchī shaam tanhā aur añdheroñ kā hujūm
un meñ apnā aks dikhlātī chalī pāgal havā
din Dhale ghar lauT aanā qufl karnā hasrateñ
kyuuñ nahīñ ye ḳhatm hotā sochtī pāgal havā
shahr meñ tere haiñ tujh ko bhūlne kī zid baḌī
be-sabab dil kī baḌhātī bekalī pāgal havā
ab to ye aalam magar vo ḳhush nahīñ maiñ bhī nahīñ
us kā har ġham mujh se aksar bāñTtī pāgal havā
lab pe aatī baat rah jaatī laboñ ke darmiyāñ
aam mat kar rāz-e-dil kah roktī pāgal havā
hukmarāñ kahne lagā hai chor hai saare makīñ
dekhtī ahl-e-vatan kī bebasī pāgal havā
tere aane ki KHabar deti rahi pagal hawa
tujh talak meri haya le kar gai pagal hawa
dhup kachchi sham tanha aur andheron ka hujum
un mein apna aks dikhlati chali pagal hawa
din Dhale ghar lauT aana qufl karna hasraten
kyun nahin ye KHatm hota sochti pagal hawa
shahr mein tere hain tujh ko bhulne ki zid baDi
be-sabab dil ki baDhati bekali pagal hawa
ab to ye aalam magar wo KHush nahin main bhi nahin
us ka har gham mujh se aksar banTti pagal hawa
lab pe aati baat rah jati labon ke darmiyan
aam mat kar raaz-e-dil kah rokti pagal hawa
hukmaran kahne laga hai chor hai sare makin
dekhti ahl-e-watan ki bebasi pagal hawa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.