tere aangan mein wafaon ka shajar rakkha tha
tere āñgan meñ vafāoñ kā shajar rakkhā thā
apne hoñToñ pe duāoñ kā shajar rakkhā thā
kaise na yaad kī khiḌkī meñ Thahartī kal shab
mere kamre meñ sadāoñ kā shajar rakkhā thā
yād-e-jānāñ ke parindoñ ke sukūñ kī ḳhātir
apne siine meñ vafāoñ kā shajar rakkhā thā
jaane kyā soch ke fitrat se mohabbat kī thī
mere ajdād ne gaañv kā shajar rakkhā thā
merī qismat meñ mohabbat kā sitāra hī nahīñ
merī qismat meñ jafāoñ kā shajar rakkhā thā
vaise to pyaar kī chhāñv se mohabbat thī 'diyā'
par kahīñ dil meñ anāoñ kā shajar rakkhā thā
tere aangan mein wafaon ka shajar rakkha tha
apne honTon pe duaon ka shajar rakkha tha
kaise na yaad ki khiDki mein Thaharti kal shab
mere kamre mein sadaon ka shajar rakkha tha
yaad-e-jaanan ke parindon ke sukun ki KHatir
apne sine mein wafaon ka shajar rakkha tha
jaane kya soch ke fitrat se mohabbat ki thi
mere ajdad ne ganw ka shajar rakkha tha
meri qismat mein mohabbat ka sitara hi nahin
meri qismat mein jafaon ka shajar rakkha tha
waise to pyar ki chhanw se mohabbat thi 'diya'
par kahin dil mein anaon ka shajar rakkha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.