tere aasar miTane mein bahut der lagi
tere āsār miTāne meñ bahut der lagī
ḳhud ko is paar bulāne meñ bahut der lagī
tū mirī zaat kā khoyā huā hissa hai koī
tujh ko ye baat batāne meñ bahut der lagī
zindagī jis kī har ik taal pe kartī hai dhamāl
dil ke vo taar bajāne meñ bahut der lagī
ā.īna mujh ko yuuñ dekhe ki simaTtī jā.ūñ
tere rañgoñ ko bahāne meñ bahut der lagī
jis kī ta.abīr meñ be-shakl nikhar jaate haiñ
mujh ko us ḳhvāb ke paane meñ bahut der lagī
raat phir hijr ke takiye pe kiye gesū darāz
raat phir ḳhud ko sulāne meñ bahut der lagī
kitne bikhre hue rañgoñ meñ milī hai furqat
mujh ko ye rizq uThāne meñ bahut der lagī
vasl ke ḳhvāb mirī nasl hī ab dekhegī
hijr meñ rāsta paane meñ bahut der lagī
tere aasar miTane mein bahut der lagi
KHud ko is par bulane mein bahut der lagi
tu meri zat ka khoya hua hissa hai koi
tujh ko ye baat batane mein bahut der lagi
zindagi jis ki har ek tal pe karti hai dhamal
dil ke wo tar bajaane mein bahut der lagi
aaina mujh ko yun dekhe ki simaTti jaun
tere rangon ko bahane mein bahut der lagi
jis ki tabir mein be-shakl nikhar jate hain
mujh ko us KHwab ke pane mein bahut der lagi
raat phir hijr ke takiye pe kiye gesu daraaz
raat phir KHud ko sulane mein bahut der lagi
kitne bikhre hue rangon mein mili hai furqat
mujh ko ye rizq uThane mein bahut der lagi
wasl ke KHwab meri nasl hi ab dekhegi
hijr mein rasta pane mein bahut der lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.