tere bais masala hal ho gaya
tere baa.is mas.ala hal ho gayā
maiñ adhūrā thā mukammal ho gayā
jaan dī us ne maiñ pāgal ho gayā
aur afsāna mukammal ho gayā
mujh ko le kar rail aage baḌh ga.ī
aur giilā us kā āñchal ho gayā
ye samundar kis qadar thā pur-sukūñ
chāñd ko dekhā to pāgal ho gayā
ab mirī achhā.iyāñ bhī aib haiñ
ab mirā sonā bhī pītal ho gayā
har taraf hañgāma-hā-e-dār-o-gīr
kyā ye saarā shahr pāgal ho gayā
zehn meñ utrī thī yādoñ kī barāt
raat phir jangal meñ mangal ho gayā
ek afsāna adhūrā hai abhī
ek afsāna mukammal ho gayā
ḳhushk dariyāoñ meñ ḳhaak uḌne lagī
aur sahrāoñ meñ jal-thal ho gayā
tere bais masala hal ho gaya
main adhura tha mukammal ho gaya
jaan di us ne main pagal ho gaya
aur afsana mukammal ho gaya
mujh ko le kar rail aage baDh gai
aur gila us ka aanchal ho gaya
ye samundar kis qadar tha pur-sukun
chand ko dekha to pagal ho gaya
ab meri achhaiyan bhi aib hain
ab mera sona bhi pital ho gaya
har taraf hangama-ha-e-dar-o-gir
kya ye sara shahr pagal ho gaya
zehn mein utri thi yaadon ki baraat
raat phir jangal mein mangal ho gaya
ek afsana adhura hai abhi
ek afsana mukammal ho gaya
KHushk dariyaon mein KHak uDne lagi
aur sahraon mein jal-thal ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.