tere bare mein jo afsane sune the itne
tere baare meñ jo afsāne sune the itne
jaisā paayā hai tujhe kab vo bure the itne
shāyad is baar to aa.ī hai ḳhizāñ joban par
pichhlī rut meñ bhī kabhī phuul jhaḌe the itne
aaj kī tarh na thā sāhab-e-zar vo jab tak
us kī rāhoñ meñ sitāre na bichhe the itne
jaise ab paañv har ik gaam pe shal hote haiñ
ham kabhī saañs bhī lene na ruke the itne
us ne aate hī hameñ ġhaur se kyoñ dekhā thā
jab ki milne ko use log khaḌe the itne
tere māthe kī shikan kar ga.ī muhtāt hameñ
raaz varna tire ham par na khule the itne
chārāgar aa.e to pahlī sī muravvat hī na thī
kyā isī din ke liye zaḳhm hare the itne
nā-gavārī thī tirī bazm meñ har chehre par
aaj se pahle ta'alluq na baḌhe the itne
yuuñ to har shaḳhs ne bahrūp badal rakkhā thā
log mā'sūm to pahle na lage the itne
ham ne dekhā thā 'humairā' dam-e-ruḳhsat un ko
kyā vo tere liye bechain hue the itne
tere bare mein jo afsane sune the itne
jaisa paya hai tujhe kab wo bure the itne
shayad is bar to aai hai KHizan joban par
pichhli rut mein bhi kabhi phul jhaDe the itne
aaj ki tarh na tha sahab-e-zar wo jab tak
us ki rahon mein sitare na bichhe the itne
jaise ab panw har ek gam pe shal hote hain
hum kabhi sans bhi lene na ruke the itne
us ne aate hi hamein ghaur se kyon dekha tha
jab ki milne ko use log khaDe the itne
tere mathe ki shikan kar gai muhtat hamein
raaz warna tere hum par na khule the itne
chaaragar aae to pahli si murawwat hi na thi
kya isi din ke liye zaKHm hare the itne
na-gawari thi teri bazm mein har chehre par
aaj se pahle ta'alluq na baDhe the itne
yun to har shaKHs ne bahrup badal rakkha tha
log ma'sum to pahle na lage the itne
hum ne dekha tha 'humaira' dam-e-ruKHsat un ko
kya wo tere liye bechain hue the itne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.