tere baghair zindagi kya zindagi miyan
Interesting Fact
نذر جاں نثار اختر
tere baġhair zindagī kyā zindagī miyāñ
ek ek lamha hai mujhe ek ik sadī miyāñ
hairat se dekhtā hai mujhe har koī miyāñ
jaise maiñ apne shahr meñ huuñ ajnabī miyāñ
har baat meñ hai talḳhī-o-afsurdagī miyāñ
hai mustaqil azaab mirī zindagī miyāñ
kahne ko yuuñ to sab nazar aate haiñ aadmī
mushkil se bhī milā na koī aadmī miyāñ
jur.at agar hai tujh meñ to aa khul ke sāmne
parde meñ dostī ke na kar dushmanī miyāñ
maiñ ne to us kā saath diyā hai tamām umr
kyoñ merā saath chhoḌ ga.ī zindagī miyāñ
'rāhī' ko jab ḳhushī kī zarūrat nahīñ rahī
niklī hai DhūñDhtī huī us ko ḳhushī miyāñ
tere baghair zindagi kya zindagi miyan
ek ek lamha hai mujhe ek ek sadi miyan
hairat se dekhta hai mujhe har koi miyan
jaise main apne shahr mein hun ajnabi miyan
har baat mein hai talKHi-o-afsurdagi miyan
hai mustaqil azab meri zindagi miyan
kahne ko yun to sab nazar aate hain aadmi
mushkil se bhi mila na koi aadmi miyan
jurat agar hai tujh mein to aa khul ke samne
parde mein dosti ke na kar dushmani miyan
main ne to us ka sath diya hai tamam umr
kyon mera sath chhoD gai zindagi miyan
'rahi' ko jab KHushi ki zarurat nahin rahi
nikli hai DhunDhti hui us ko KHushi miyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.