tere bimar ko nind aai hai
tere bīmār ko niiñd aa.ī hai
ab kahāñ vaqt-e-masīhā.ī hai
kaun aalam hai jo maujūd nahīñ
kyā yahī ālam-e-tanhā.ī hai
aap kī samt nahīñ rū-e-suḳhan
baat meñ baat nikal aa.ī hai
hañs rahe haiñ mirī tanhā.ī par
in sitāroñ kī bhī ban aa.ī hai
aap dīvāna samajhte haiñ mujhe
aap kī hausla-afzā.ī hai
ye kahāñ ahl-e-ḳhirad ko ma.alūm
kitnī nādān pe dānā.ī hai
ai 'shamīm' aap ko ma.alūm nahīñ
kaun nekī hai jo kaam aa.ī hai
tere bimar ko nind aai hai
ab kahan waqt-e-masihai hai
kaun aalam hai jo maujud nahin
kya yahi aalam-e-tanhai hai
aap ki samt nahin ru-e-suKHan
baat mein baat nikal aai hai
hans rahe hain meri tanhai par
in sitaron ki bhi ban aai hai
aap diwana samajhte hain mujhe
aap ki hausla-afzai hai
ye kahan ahl-e-KHirad ko malum
kitni nadan pe danai hai
ai 'shamim' aap ko malum nahin
kaun neki hai jo kaam aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.