tere bikhre lafz bhi afkar se aari nahin
tere bikhre lafz bhī afkār se aarī nahīñ
is haqīqat se to koī shaḳhs inkārī nahīñ
phailtā jaatā hai ik sartān tere jism meñ
nashtaroñ ke ḳhauf se mat kah ye bīmārī nahīñ
guzre vaqtoñ ye ibārat meñ to kho kar rah gayā
vaqt ke māthe kī tahrīroñ kā tū qaarī nahīñ
terī har āvāz un ke shor meñ dab jā.egī
un kā maqsad to tirā hāñkā hai shashkārī nahīñ
maslahat-andesh to kotāh-andeshoñ meñ hai
aa.ina terā abhī mailā hai zañgārī nahīñ
tere bikhre lafz bhi afkar se aari nahin
is haqiqat se to koi shaKHs inkari nahin
phailta jata hai ek sartan tere jism mein
nashtaron ke KHauf se mat kah ye bimari nahin
guzre waqton ye ibarat mein to kho kar rah gaya
waqt ke mathe ki tahriron ka tu qari nahin
teri har aawaz un ke shor mein dab jaegi
un ka maqsad to tera hanka hai shashkari nahin
maslahat-andesh to kotah-andeshon mein hai
aaina tera abhi maila hai zangari nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.