tere bina ye lala-o-bagh-o-bahaar kya
tere binā ye lāla-o-bāġh-o-bahār kyā
duniyā-e-āb-o-gil meñ kare ḳhāksār kyā
ro.e haiñ zār-o-zār suḳhan-var sabhī yahāñ
tere firāq meñ milā hai rozgār kyā
be-āb-o-tāb mansab-e-bulbul huā hai aaj
zāġh-o-zaġhan ko mil gayā hai iḳhtiyār kyā
saaqī ye chup sī kaisī hai is mai-kade meñ aaj
apne sivā koī nahīñ hai bāda-ḳhvār kyā
'ākif' ye duniyā dekhe hai chashm-e-pur-āb ko
vīrān āñkhoñ kā kisī ko e'tibār kyā
tere bina ye lala-o-bagh-o-bahaar kya
duniya-e-ab-o-gil mein kare KHaksar kya
roe hain zar-o-zar suKHan-war sabhi yahan
tere firaq mein mila hai rozgar kya
be-ab-o-tab mansab-e-bulbul hua hai aaj
zagh-o-zaghan ko mil gaya hai iKHtiyar kya
saqi ye chup si kaisi hai is mai-kade mein aaj
apne siwa koi nahin hai baada-KHwar kya
'akif' ye duniya dekhe hai chashm-e-pur-ab ko
viran aankhon ka kisi ko e'tibar kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.