Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere daman ki thi ya mast hua kis ki thi

Ejaz Obaid

tere daman ki thi ya mast hua kis ki thi

Ejaz Obaid

MORE BYEjaz Obaid

    tere dāman thī mast huā kis thī

    saath mere chalī aa.ī vo sadā kis thī

    kaun mujrim hai ki duurī hai vahī pahlī

    paas aa kar chale jaane adā kis thī

    dil to sulgā thā magar āñkhoñ meñ aañsū kyuuñ aa.e

    mil ga.ī kis ko sazā aur ḳhatā kis thī

    shaam aate utar aa.e mire gaañv meñ rañg

    jis ke ye rañg the jaane vo qabā kis thī

    ye mirā dil hai ki āñkheñ ki sitāroñ tarah

    jalne bujhne sahar tak ye adā kis thī

    chāñdnī raat ghane niim tale koī na thā

    phir fazāoñ meñ vo ḳhushbū-e-hinā kis thī

    tere daman ki thi ya mast hua kis ki thi

    sath mere chali aai wo sada kis ki thi

    kaun mujrim hai ki duri hai wahi pahli si

    pas aa kar chale jaane ki ada kis ki thi

    dil to sulga tha magar aankhon mein aansu kyun aae

    mil gai kis ko saza aur KHata kis ki thi

    sham aate hi utar aae mere ganw mein rang

    jis ke ye rang the jaane wo qaba kis ki thi

    ye mera dil hai ki aankhen ki sitaron ki tarah

    jalne bujhne ki sahar tak ye ada kis ki thi

    chandni raat ghane nim tale koi na tha

    phir fazaon mein wo KHushbu-e-hina kis ki thi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now