tere dar pe dil-e-nakaam liye baiThe hain
tere dar pe dil-e-nākām liye baiThe haiñ
mai-kada band hai aur jaam liye baiThe haiñ
ye haiñ dīvāne bhalā sajdoñ kā mauqa deñge
ham kahāñ hasrat-e-ilzām liye baiThe haiñ
ġham nahīñ is kā jo tūfān Dubo de mujh ko
ahl-e-sāhil mirā paiġhām liye baiThe haiñ
tez-ro jāda-e-be-nām se aage pahoñche
aur manzil ko subuk-gām liye baiThe haiñ
kyoñ 'vasī' un ke laboñ par hai sukūt-e-paiham
dil meñ jo hashr kā hangām liye baiThe haiñ
tere dar pe dil-e-nakaam liye baiThe hain
mai-kada band hai aur jam liye baiThe hain
ye hain diwane bhala sajdon ka mauqa denge
hum kahan hasrat-e-ilzam liye baiThe hain
gham nahin is ka jo tufan Dubo de mujh ko
ahl-e-sahil mera paigham liye baiThe hain
tez-ro jada-e-be-nam se aage pahonche
aur manzil ko subuk-gam liye baiThe hain
kyon 'wasi' un ke labon par hai sukut-e-paiham
dil mein jo hashr ka hangam liye baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.