tere dar se na uTha hun na uThunga ai dost
tere dar se na uThā huuñ na uThūñgā ai dost
zindagī tere binā ḳhvāb hai afsāna hai
mudda.ā is ke alāva nahīñ kuchh aur mirā
terā dīvāna huuñ dar pe tire miT jaanā hai
ai 'fanā' kahte haiñ me.arāj-e-ibādat us ko
mere har sajde kā hāsil dar-e-jānāna hai
tere dar se na uTha hun na uThunga ai dost
zindagi tere bina KHwab hai afsana hai
muddaa is ke alawa nahin kuchh aur mera
tera diwana hun dar pe tere miT jaana hai
ai 'fana' kahte hain mearaj-e-ibaadat us ko
mere har sajde ka hasil dar-e-jaanana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.