tere dar se uThe gham uThate rahe
tere dar se uThe ġham uThāte rahe
bazm-e-ḳhvāb-e-mohabbat sajāte rahe
chalte chalte mile kitne dasht-e-junūñ
giit ulfat ke ham to sunāte rahe
ḳhud to jehd-o-amal se gurezāñ rahe
naqsh-e-qismat magar vo batāte rahe
yuuñ to tārīk thī apnī rāh-e-safar
ḳhūn-e-dil se diye ham jalāte rahe
regzāroñ meñ husn-e-vafā kā sila
yaar yāroñ se nazreñ churāte rahe
tere dar se uThe gham uThate rahe
bazm-e-KHwab-e-mohabbat sajate rahe
chalte chalte mile kitne dasht-e-junun
git ulfat ke hum to sunate rahe
KHud to jehd-o-amal se gurezan rahe
naqsh-e-qismat magar wo batate rahe
yun to tarik thi apni rah-e-safar
KHun-e-dil se diye hum jalate rahe
regzaron mein husn-e-wafa ka sila
yar yaron se nazren churaate rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.