tere darwaze jo aaya hua hai
tere darvāze jo aayā huā hai
vo zamāne kā satāyā huā hai
aaj lagtā hai qayāmat kī tarah
aaj apnā bhī parāyā huā hai
terā paiġhām adhūrā sā lagā
aisā lagtā hai miTāyā huā hai
aisī rangat kahīñ dekhī na sunī
kuchh to maide meñ milāyā huā hai
tere vahshī ne gulābī rut meñ
āsmāñ sar pe uThāyā huā hai
des pardes bhaTaktā hai sadā
jaane kyā sar meñ samāyā huā hai
dhaḌkaneñ tez huī jaatī haiñ
koī lagtā hai ki aayā huā hai
tere darwaze jo aaya hua hai
wo zamane ka sataya hua hai
aaj lagta hai qayamat ki tarah
aaj apna bhi paraya hua hai
tera paigham adhura sa laga
aisa lagta hai miTaya hua hai
aisi rangat kahin dekhi na suni
kuchh to maide mein milaya hua hai
tere wahshi ne gulabi rut mein
aasman sar pe uThaya hua hai
des pardes bhaTakta hai sada
jaane kya sar mein samaya hua hai
dhaDkanen tez hui jati hain
koi lagta hai ki aaya hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.