tere dil mein jahan main baiTha hun
tere dil meñ jahāñ maiñ baiThā huuñ
dukh hai sab ko kahāñ maiñ baiThā huuñ
muntazir jān-e-jāñ maiñ baiThā huuñ
aa bhī jā mehrbāñ maiñ baiThā huuñ
raunaqeñ aap se thiiñ mahfil meñ
kis ne dekhā vahāñ maiñ baiThā huuñ
tere jaane se bujh gayā dil bhī
ab yahāñ rā.egāñ maiñ baiThā huuñ
apne yāroñ se dushmanī kaisī
kis liye bad-gumāñ maiñ baiThā huuñ
raakh hone ko hai mirī hastī
ho ke shoa.la-fishāñ maiñ baiThā huuñ
mujh ko jaldī nahīñ hai jaane kī
tum kaho dāstāñ maiñ baiThā huuñ
apne pahlū meñ āsmāñ le kar
dekh le ai zamāñ maiñ baiThā huuñ
tere dil mein jahan main baiTha hun
dukh hai sab ko kahan main baiTha hun
muntazir jaan-e-jaan main baiTha hun
aa bhi ja mehrban main baiTha hun
raunaqen aap se thin mahfil mein
kis ne dekha wahan main baiTha hun
tere jaane se bujh gaya dil bhi
ab yahan raegan main baiTha hun
apne yaron se dushmani kaisi
kis liye bad-guman main baiTha hun
rakh hone ko hai meri hasti
ho ke shoala-fishan main baiTha hun
mujh ko jaldi nahin hai jaane ki
tum kaho dastan main baiTha hun
apne pahlu mein aasman le kar
dekh le ai zaman main baiTha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.