tere dil mein jo hiqarat hai tere bas mein nahin
tere dil meñ jo hiqārat hai tire bas meñ nahīñ
tere bachpan kī ye aadat hai tire bas meñ nahīñ
tum nahīñ mānoge itnī to ḳhabar hai mujh ko
chaar logoñ pe hukūmat hai tire bas meñ nahīñ
kaj-suḳhan hai tū munāfiq hai tū kam-zarf bhī hai
is havāle se jo shohrat hai tire bas meñ nahīñ
aañkh meñ niiñd utarne hī nahīñ detā hai
ḳhvāb-zāroñ se jo hijrat hai tire bas meñ nahīñ
saañs lene ko bhī ab terī ijāzat chāhūñ
ek nākām sī hasrat hai tire bas meñ nahīñ
tujh se achchhā hai jo ik aks tujhe bhātā nahīñ
ye jo ā.īne kī hairat hai tire bas meñ nahīñ
ye tirī aañkh ke chhāle haiñ kisī aur sabab
aur chehre pe jo vahshat hai tire bas meñ nahīñ
tere dil mein jo hiqarat hai tere bas mein nahin
tere bachpan ki ye aadat hai tere bas mein nahin
tum nahin manoge itni to KHabar hai mujh ko
chaar logon pe hukumat hai tere bas mein nahin
kaj-suKHan hai tu munafiq hai tu kam-zarf bhi hai
is hawale se jo shohrat hai tere bas mein nahin
aankh mein nind utarne hi nahin deta hai
KHwab-zaron se jo hijrat hai tere bas mein nahin
sans lene ko bhi ab teri ijazat chahun
ek nakaam si hasrat hai tere bas mein nahin
tujh se achchha hai jo ek aks tujhe bhata nahin
ye jo aaine ki hairat hai tere bas mein nahin
ye teri aankh ke chhaale hain kisi aur sabab
aur chehre pe jo wahshat hai tere bas mein nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.