tere gham ke shikar hain hum log
tere ġham ke shikār haiñ ham log
phir bhī tujh par nisār haiñ ham log
ham se pūchho ma.āl-e-lāla-o-gul
kushtagān-e-bahār haiñ ham log
jis ko sun kar falak laraz uTThe
vo fuġhāñ vo pukār haiñ ham log
kal nasīm-e-sahar kā jhoñkā the
aaj gard-o-ġhubār haiñ ham log
zindagī ko ḳhabar nahīñ lekin
zindagī kā vaqār haiñ ham log
ham se bhī be-ruḳhī are tauba
aap ke rāzdār haiñ ham log
jaane kyā raaz hai ye ai 'ġhamgīn'
jaane kyoñ be-qarār haiñ ham log
tere gham ke shikar hain hum log
phir bhi tujh par nisar hain hum log
hum se puchho maal-e-lala-o-gul
kushtagan-e-bahaar hain hum log
jis ko sun kar falak laraz uTThe
wo fughan wo pukar hain hum log
kal nasim-e-sahar ka jhonka the
aaj gard-o-ghubar hain hum log
zindagi ko KHabar nahin lekin
zindagi ka waqar hain hum log
hum se bhi be-ruKHi are tauba
aap ke raazdar hain hum log
jaane kya raaz hai ye ai 'ghamgin'
jaane kyon be-qarar hain hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.