tere gham ko apni raaton ka muqaddar kar liya
tere ġham ko apnī rātoñ kā muqaddar kar liyā
jāgnā thā is liye kāñToñ pe bistar kar liyā
jis ko chāhā bas usī kā rāsta takte rahe
pattharoñ kī justujū meñ ḳhud ko patthar kar liyā
haa.e vo ehsās harf-e-ārzū kahne ke ba.ad
yuuñ lagā thā jaise koī ma.arka sar kar liyā
ham to maazī ko asās-e-zindagī kahte rahe
aur us ne apne mustaqbil ko behtar kar liyā
bas yahī mumkin thā ham se dasht-e-ġhurbat meñ 'aqīl'
apne qad ko apnī chādar ke barābar kar liyā
tere gham ko apni raaton ka muqaddar kar liya
jagna tha is liye kanTon pe bistar kar liya
jis ko chaha bas usi ka rasta takte rahe
pattharon ki justuju mein KHud ko patthar kar liya
hae wo ehsas harf-e-arzu kahne ke baad
yun laga tha jaise koi marka sar kar liya
hum to mazi ko asas-e-zindagi kahte rahe
aur us ne apne mustaqbil ko behtar kar liya
bas yahi mumkin tha hum se dasht-e-ghurbat mein 'aqil'
apne qad ko apni chadar ke barabar kar liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.