Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere ghar mein mujhe le kar kahin kuchh ho gaya tha kya

Aman Kumar Musafir

tere ghar mein mujhe le kar kahin kuchh ho gaya tha kya

Aman Kumar Musafir

MORE BYAman Kumar Musafir

    tere ghar meñ mujhe le kar kahīñ kuchh ho gayā thā kyā

    mujhe to chhoḌ par ye batā ḳhat mil gayā thā kyā

    nahīñ kuchh yaad hai tum ko ḳhatā donoñ thī lekin

    chhuā thā maiñ ne tum ko nahīñ tum ne chhuā thā kyā

    akelī raat thī ham tum akele kaise rah lete

    na maiñ thā hosh meñ tum kahīñ kuchh ho gayā thā kyā

    kyoñ ab ro ro ke kahtī ho ḳhatm kar do na ye jhagḌā

    shurūa tum ne kiyā thā kyoñ shurūa maiñ ne kiyā thā kyā

    koī muddat nahīñ guzrī bas ik vo raat kaafī thī

    bhulāne ko tumheñ ai jaañ koī arsa kiyā thā kyā

    maiñ hiire tarah chamkā maiñ shīshe tarah bikhrā

    mere kirdār ne tum se koī pardā kiyā thā kyā

    tere ghar mein mujhe le kar kahin kuchh ho gaya tha kya

    mujhe to chhoD ja par ye bata KHat mil gaya tha kya

    nahin kuchh yaad hai tum ko KHata donon ki thi lekin

    chhua tha main ne hi tum ko nahin tum ne chhua tha kya

    akeli raat thi hum tum akele kaise rah lete

    na main tha hosh mein na tum kahin kuchh ho gaya tha kya

    kyon ab ro ro ke kahti ho KHatm kar do na ye jhagDa

    shurua tum ne kiya tha kyon shurua main ne kiya tha kya

    koi muddat nahin guzri bas ek wo raat kafi thi

    bhulane ko tumhein ai jaan koi arsa kiya tha kya

    main hire ki tarah chamka main shishe ki tarah bikhra

    mere kirdar ne tum se koi parda kiya tha kya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now