tere hisse ka bach gaya hai kuchh
tere hisse ka bach gaya hai kuchh
Nishant Shrivastava Nayab
MORE BYNishant Shrivastava Nayab
tere hisse kā bach gayā hai kuchh
merī āñkhoñ meñ chubh rahā hai kuchh
ham bhī māhir haiñ ab tere fan meñ
dil meñ hai kuchh magar kahā hai kuchh
yaad karnā tumheñ hai aadat meñ
varna dil meñ nahīñ bacha hai kuchh
din meñ bhī sochte haiñ ham tujh ko
raat is baat pe ḳhafā hai kuchh
na huā merā aur na us kā hī
dil ke hone kā fā.eda hai kuchh
ik sitāre ke TuuT jaane se
arsh kā bojh baḌh gayā hai kuchh
terī āñkheñ jise mayassar hoñ
phir kahāñ us ko aa.ina hai kuchh
jaan niklī na tere jaane pe
mere haq meñ ajab sazā hai kuchh
sirf mere nahīñ haiñ ye aañsū
in meñ hissa raqīb kā hai kuchh
ab duā.eñ mirī nahīñ suntā
arsh būḌhā sā ho gayā hai kuchh
tere hisse ka bach gaya hai kuchh
meri aankhon mein chubh raha hai kuchh
hum bhi mahir hain ab tere fan mein
dil mein hai kuchh magar kaha hai kuchh
yaad karna tumhein hai aadat mein
warna dil mein nahin bacha hai kuchh
din mein bhi sochte hain hum tujh ko
raat is baat pe KHafa hai kuchh
na hua mera aur na us ka hi
dil ke hone ka faeda hai kuchh
ek sitare ke TuT jaane se
arsh ka bojh baDh gaya hai kuchh
teri aankhen jise mayassar hon
phir kahan us ko aaina hai kuchh
jaan nikli na tere jaane pe
mere haq mein ajab saza hai kuchh
sirf mere nahin hain ye aansu
in mein hissa raqib ka hai kuchh
ab duaen meri nahin sunta
arsh buDha sa ho gaya hai kuchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.