tere honTon ki KHair mangi hai
tere hoñToñ kī ḳhair māñgī hai
ya.anī phūloñ kī ḳhair māñgī hai
ye ḳhabar hai ki bādaloñ ne abhī
terī zulfoñ kī ḳhair māñgī hai
saare bujhte hue charāġhoñ ne
jaltī āñkhoñ kī ḳhair māñgī hai
kuchh faqīroñ ne daan ke badle
kaj-kulāhoñ kī ḳhair māñgī hai
Dolte taḳht uḌte tājoñ ne
bādshāhoñ kī ḳhair māñgī hai
terī bindiyā ne tere jhumkoñ ne
chāñd tāroñ kī ḳhair māñgī hai
dauḌtī hāñptī ḳhizāoñ ne
lāla-zāroñ kī ḳhair māñgī hai
ek sassī ke zaḳhmī pairoñ ne
regzāroñ kī ḳhair māñgī hai
tere honTon ki KHair mangi hai
yani phulon ki KHair mangi hai
ye KHabar hai ki baadalon ne abhi
teri zulfon ki KHair mangi hai
sare bujhte hue charaghon ne
jalti aankhon ki KHair mangi hai
kuchh faqiron ne dan ke badle
kaj-kulahon ki KHair mangi hai
Dolte taKHt uDte tajon ne
baadshahon ki KHair mangi hai
teri bindiya ne tere jhumkon ne
chand taron ki KHair mangi hai
dauDti hanpti KHizaon ne
lala-zaron ki KHair mangi hai
ek sassi ke zaKHmi pairon ne
regzaron ki KHair mangi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.