tere husn-o-jamal tak pahuncha
tere husn-o-jamāl tak pahuñchā
maiñ bhī kitne kamāl tak pahuñchā
ba.ad muddat ke zehn-e-āshufta
ek nāzuk-ḳhayāl tak pahuñchā
ai mire shauq-e-be-misāl mujhe
aaj us be-misāl tak pahuñchā
ik zavāl-e-urūj se ho kar
maiñ urūj-e-zavāl tak pahuñchā
zehn āzād ho gayā merā
jab yaqīñ ehtimāl tak pahuñchā
tazkira husn ke tanāsub kā
phir tire ḳhadd-o-ḳhāl tak pahuñchā
ik muamma thā merā mustaqbil
kitnī mushkil se haal tak pahuñchā
is tarah maiñ tire qarīb aayā
jaise mumkin muhāl tak pahuñchā
ye havas bhī kamāl tak pahuñchī
vo badan bhī kamāl tak pahuñchā
ik gila zindagī ke hone kā
hote hote malāl tak pahuñchā
ik ḳhalish sī rahī kahīñ dil meñ
hijr jab bhī visāl tak pahuñchā
thā azal se savāl ke andar
jo javāb ab savāl tak pahuñchā
'shāriq' is ishq ke vasīle se
maiñ jalāl-o-jamāl tak pahuñchā
tere husn-o-jamal tak pahuncha
main bhi kitne kamal tak pahuncha
baad muddat ke zehn-e-ashufta
ek nazuk-KHayal tak pahuncha
ai mere shauq-e-be-misal mujhe
aaj us be-misal tak pahuncha
ek zawal-e-uruj se ho kar
main uruj-e-zawal tak pahuncha
zehn aazad ho gaya mera
jab yaqin ehtimal tak pahuncha
tazkira husn ke tanasub ka
phir tere KHadd-o-KHal tak pahuncha
ek muamma tha mera mustaqbil
kitni mushkil se haal tak pahuncha
is tarah main tere qarib aaya
jaise mumkin muhaal tak pahuncha
ye hawas bhi kamal tak pahunchi
wo badan bhi kamal tak pahuncha
ek gila zindagi ke hone ka
hote hote malal tak pahuncha
ek KHalish si rahi kahin dil mein
hijr jab bhi visal tak pahuncha
tha azal se sawal ke andar
jo jawab ab sawal tak pahuncha
'shaariq' is ishq ke wasile se
main jalal-o-jamal tak pahuncha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.