tere jaane ka gham kam nahin
tere jaane kā ġham kam nahīñ
chashm phir bhī mirī nam nahīñ
dil kahīñ ab lage kaise jab
ghar hī merā munazzam nahīñ
shahr bhar meñ haiñ bismil magar
DhūñDho to koī marham nahīñ
ye bhī hai ik asar ishq kā
sab luTā kar bhī kuchh ġham nahīñ
sab kī peshānī par silvaTeñ
kaun hai jo ki barham nahīñ
us kī nazar-e-ināyat to hai
silsila par ye paiham nahīñ
tere jaane ka gham kam nahin
chashm phir bhi meri nam nahin
dil kahin ab lage kaise jab
ghar hi mera munazzam nahin
shahr bhar mein hain bismil magar
DhunDho to koi marham nahin
ye bhi hai ek asar ishq ka
sab luTa kar bhi kuchh gham nahin
sab ki peshani par silwaTen
kaun hai jo ki barham nahin
us ki nazar-e-inayat to hai
silsila par ye paiham nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.