tere jaane ka koi gham to nahin
tere jaane kā koī ġham to nahīñ
ḳhūb-rū is jahāñ meñ kam to nahīñ
ik tire vāste sabhī chhoḌeñ
aur hogā vo koī ham to nahīñ
aur mil jā.eñge ye jām-o-subū
jaam terā bhī jām-e-jam to nahīñ
jo mabāhis meñ qaul-e-faisal ho
terī bātoñ meñ aisā dam to nahīñ
kuchh to hogā malāl khone kā
dekh terī bhī aañkh nam to nahīñ
tere jaane ka koi gham to nahin
KHub-ru is jahan mein kam to nahin
ek tere waste sabhi chhoDen
aur hoga wo koi hum to nahin
aur mil jaenge ye jam-o-subu
jam tera bhi jam-e-jam to nahin
jo mabahis mein qaul-e-faisal ho
teri baaton mein aisa dam to nahin
kuchh to hoga malal khone ka
dekh teri bhi aankh nam to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.