tere jaisa chehra dekha bahut dinon ke baad
tere jaisa chehra dekha bahut dinon ke baad
Neelma Naheed Durrani
MORE BYNeelma Naheed Durrani
tere jaisā chehra dekhā bahut dinoñ ke ba.ad
āñkhoñ meñ kājal bhī phailā bahut dinoñ ke ba.ad
ḳhunkī kī ik lahar sī phailī mere zehn ke andar
dil ne mujh ko bahut satāyā bahut dinoñ ke ba.ad
ḳhushk havāoñ ne bhī kitne sūkhe phuul girā.e
dhartī ne jab ruup sajāyā bahut dinoñ ke ba.ad
chāroñ jānib raushnī phailī sūraj jab bhī niklā
mere shahr meñ jab vo aayā bahut dinoñ ke ba.ad
tere jaisa chehra dekha bahut dinon ke baad
aankhon mein kajal bhi phaila bahut dinon ke baad
KHunki ki ek lahar si phaili mere zehn ke andar
dil ne mujh ko bahut sataya bahut dinon ke baad
KHushk hawaon ne bhi kitne sukhe phul girae
dharti ne jab rup sajaya bahut dinon ke baad
chaaron jaanib raushni phaili suraj jab bhi nikla
mere shahr mein jab wo aaya bahut dinon ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.