tere jalwon ko ru-ba-ru kar ke
tere jalvoñ ko rū-ba-rū kar ke
tujh se milte haiñ ham vuzū kar ke
tere kūche se lauT aa.e ham
apnī āñkheñ lahū lahū kar ke
chāk-dāman hai chaak rahne de
kyā karegā use rafū kar ke
tere lahje meñ kaisā jaadū hai
ham bhī dekheñge guftugū kar ke
apnī duniyā luTā.e baiThā huuñ
ye milā terī justujū kar ke
kho diyā hai charāġh bhī 'afzal'
chāñd tāroñ kī aarzū kar ke
tere jalwon ko ru-ba-ru kar ke
tujh se milte hain hum wuzu kar ke
tere kuche se lauT aae hum
apni aankhen lahu lahu kar ke
chaak-daman hai chaak rahne de
kya karega use rafu kar ke
tere lahje mein kaisa jadu hai
hum bhi dekhenge guftugu kar ke
apni duniya luTae baiTha hun
ye mila teri justuju kar ke
kho diya hai charagh bhi 'afzal'
chand taron ki aarzu kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.