tere jalwon ne kaisi shart rakh di
tere jalvoñ ne kaisī shart rakh dī
kī ḳhushbū dekhne kī shart rakh dī
parindoñ kā baserā aur chhatoñ par
to kyā peḌoñ ne koī shart rakh dī
mire mālik ne āñkheñ to atā kiiñ
magar in meñ namī kī shart rakh dī
parindoñ kī uḌāneñ chhīn liiñ aur
hadoñ ko nāpne kī shart rakh dī
sabhī the ektā ke haq meñ lekin
sabhī ne apnī apnī shart rakh dī
tere jalwon ne kaisi shart rakh di
ki KHushbu dekhne ki shart rakh di
parindon ka basera aur chhaton par
to kya peDon ne koi shart rakh di
mere malik ne aankhen to ata kin
magar in mein nami ki shart rakh di
parindon ki uDanen chhin lin aur
hadon ko napne ki shart rakh di
sabhi the ekta ke haq mein lekin
sabhi ne apni apni shart rakh di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.