tere KHayal-o-KHwab se beja hun ab talak
tere ḳhayāl-o-ḳhvāb se bejā huuñ ab talak
ya.anī maiñ apnī zaat se bichhḌā huuñ ab talak
gar huuñ tujhe nasīb to mujh ko na yuuñ gañvā
kitnoñ ke vāste maiñ tamannā huuñ ab talak
mujh se alag huā vo ujāloñ meñ kho gayā
maiñ tīrgī kī zabt meñ baiThā huuñ ab talak
ab to tamām zaḳhm bhī nābūd ho ga.e
hadd-e-azāb hai ki maiñ zinda huuñ ab talak
tere KHayal-o-KHwab se beja hun ab talak
yani main apni zat se bichhDa hun ab talak
gar hun tujhe nasib to mujh ko na yun ganwa
kitnon ke waste main tamanna hun ab talak
mujh se alag hua wo ujalon mein kho gaya
main tirgi ki zabt mein baiTha hun ab talak
ab to tamam zaKHm bhi nabud ho gae
hadd-e-azab hai ki main zinda hun ab talak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.