tere KHwabon mein mohabbat ki duhai dunga
tere ḳhvāboñ meñ mohabbat kī duhā.ī dūñgā
jab koī aur na hogā to dikhā.ī dūñgā
merī duniyā meñ faqat ek ḳhudā kaafī hai
dosto kitne ḳhudāoñ ko ḳhudā.ī dūñgā
dil ko maiñ qaid-e-qafas se to bachā le aayā
kab use qaid-e-nasheman se rihā.ī dūñgā
koī insāñ nazar aa.e to bulāo us ko
use is daur meñ jiine pe badhā.ī dūñgā
dekh luuñ apne garebāñ hī meñ muñh Daal ke maiñ
apne hālāt kī kis kis kī burā.ī dūñgā
tum agar chhoḌ ga.e mujh ko to yuuñ taḌpūñgā
saarī duniyā ko ġham-e-dard-e-judā.ī dūñgā
terī hī ruuh kā naġhma huuñ agar miT bhī gayā
maiñ tujhe dūsrī duniyā se sunā.ī dūñgā
tere KHwabon mein mohabbat ki duhai dunga
jab koi aur na hoga to dikhai dunga
meri duniya mein faqat ek KHuda kafi hai
dosto kitne KHudaon ko KHudai dunga
dil ko main qaid-e-qafas se to bacha le aaya
kab use qaid-e-nasheman se rihai dunga
koi insan nazar aae to bulao us ko
use is daur mein jine pe badhai dunga
dekh lun apne gareban hi mein munh Dal ke main
apne haalat ki kis kis ki burai dunga
tum agar chhoD gae mujh ko to yun taDpunga
sari duniya ko gham-e-dard-e-judai dunga
teri hi ruh ka naghma hun agar miT bhi gaya
main tujhe dusri duniya se sunai dunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.