tere kuche mein ja ke bhul gae
tere kūche meñ jā ke bhuul ga.e
ḳhud ko ham yaad aa ke bhuul ga.e
zaḳhm ḳhandāñ haiñ aaj bhī mere
aap to muskurā ke bhuul ga.e
bahs go nāsehoñ ne achchhī kī
mudda.ā saTpaTā ke bhuul ga.e
jo bhulā.e na bhūlte the sitam
sāmne un ko pā ke bhuul ga.e
kaun the kyā the ham kahāñ ke the
jaane kis ko batā ke bhuul ga.e
ham to ḳhair un ko bhūlte the kahāñ
va.ade lekin vafā ke bhuul ga.e
aise bhī kyā alaav bujhte haiñ
dil ko samjhā-bujhā ke bhuul ga.e
haa.e āñkheñ to ham bhī rakhte the
haa.e ham to milā ke bhuul ga.e
bhuul jaatā hai aadmī lekin
aap nazdīk lā ke bhuul ga.e
ishq 'rāhīl' usī ko kahte haiñ
rañj uThā.e uThā ke bhuul ga.e
tere kuche mein ja ke bhul gae
KHud ko hum yaad aa ke bhul gae
zaKHm KHandan hain aaj bhi mere
aap to muskura ke bhul gae
bahs go nasehon ne achchhi ki
muddaa saTpaTa ke bhul gae
jo bhulae na bhulte the sitam
samne un ko pa ke bhul gae
kaun the kya the hum kahan ke the
jaane kis ko bata ke bhul gae
hum to KHair un ko bhulte the kahan
wade lekin wafa ke bhul gae
aise bhi kya alaw bujhte hain
dil ko samjha-bujha ke bhul gae
hae aankhen to hum bhi rakhte the
hae hum to mila ke bhul gae
bhul jata hai aadmi lekin
aap nazdik la ke bhul gae
ishq 'rahil' usi ko kahte hain
ranj uThae uTha ke bhul gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.