tere lahje ka teri baat ka aaina hai
tere lahje kā tirī baat kā ā.īna hai
merā har sher tirī zaat kā ā.īna hai
terī zulfoñ ke machalte hue sāvan kā samāñ
mere mahke hue jazbāt kā ā.īna hai
mere chehre ko zarā ġhaur se dekho to sahī
merā chehra mire hālāt kā ā.īna hai
lahlahātī huī bharpūr javānī terī
gungunātī huī barsāt kā ā.īna hai
ai mirī jān-e-ġhazal ai mirī shahnāz-e-ġhazal
terā naġhma mire jazbāt kā ā.īna hai
tere lahje ka teri baat ka aaina hai
mera har sher teri zat ka aaina hai
teri zulfon ke machalte hue sawan ka saman
mere mahke hue jazbaat ka aaina hai
mere chehre ko zara ghaur se dekho to sahi
mera chehra mere haalat ka aaina hai
lahlahati hui bharpur jawani teri
gungunati hui barsat ka aaina hai
ai meri jaan-e-ghazal ai meri shahnaz-e-ghazal
tera naghma mere jazbaat ka aaina hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.