tere lahje teri baaton mein koi aur bhi tha
tere lahje tirī bātoñ meñ koī aur bhī thā
yuuñ tire chāhne vāloñ meñ koī aur bhī thā
maiñ to sharminda huuñ us roz se bistar se tire
jab se jaanā tire ḳhvāboñ meñ koī aur bhī thā
yuuñ mujhe TuuT ke mat chāho ki maiñ jāntā huuñ
mujh se pahle tirī bāñhoñ meñ koī aur bhī thā
ajnabī shahr kī saḌkoñ pe marā huuñ be-shak
jān-levā mirī rāhoñ meñ koī aur bhī thā
go ki mahfil meñ unheñ ham se hai matlab lekin
un kī be-tāb nigāhoñ meñ koī aur bhī thā
vo jo ro.e the gale lag ke hamāre 'faisal'
un ke bahte hue ashkoñ meñ koī aur bhī thā
tere lahje teri baaton mein koi aur bhi tha
yun tere chahne walon mein koi aur bhi tha
main to sharminda hun us roz se bistar se tere
jab se jaana tere KHwabon mein koi aur bhi tha
yun mujhe TuT ke mat chaho ki main jaanta hun
mujh se pahle teri banhon mein koi aur bhi tha
ajnabi shahr ki saDkon pe mara hun be-shak
jaan-lewa meri rahon mein koi aur bhi tha
go ki mahfil mein unhen hum se hai matlab lekin
un ki be-tab nigahon mein koi aur bhi tha
wo jo roe the gale lag ke hamare 'faisal'
un ke bahte hue ashkon mein koi aur bhi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.