tere milne ki dua ki jae
tere milne kī duā kī jaa.e
dard kī kuchh to davā kī jaa.e
ḳhāmushī oḌh rahā huuñ pal-pal
ḳhālī bartan kī sadā kī jaa.e
shāḳh ne oḌh liye haiñ patte
aao ḳhud par bhī qabā kī jaa.e
chāñd ko jis se hayā aatī hai
jazb kyā us kī adā kī jaa.e
ḳhushk sahrā meñ kahāñ hai paanī
dafn jañgal meñ anā kī jaa.e
tere milne ki dua ki jae
dard ki kuchh to dawa ki jae
KHamushi oDh raha hun pal-pal
KHali bartan ki sada ki jae
shaKH ne oDh liye hain patte
aao KHud par bhi qaba ki jae
chand ko jis se haya aati hai
jazb kya us ki ada ki jae
KHushk sahra mein kahan hai pani
dafn jangal mein ana ki jae
- Book : Dhund Mein Amaan (Pg. 59)
- Author : Vishal Khullar
- Publication : Insha Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.