tere milne se hum ko KHushi mil gai
tere milne se ham ko ḳhushī mil ga.ī
yuuñ lagā ik na.ī zindagī mil ga.ī
aap ke dam se hai zindagī zindagī
aap kyā mil ga.e zindagī mil ga.ī
ham to tanhā chale the magar raah meñ
mil ga.e ham-safar dostī mal ga.ī
log tārīkiyoñ meñ bhaTakte rahe
dil jalā kar hameñ raushnī mil ga.ī
zar milā hai kisī ko kisī ko zamīñ
tere dar kī hameñ bandagī mil ga.ī
aap kā pyaar jab se milā hai hameñ
miT ga.e saare ġham har ḳhushī mil ga.ī
aur kyā chāhiye tere dar se hameñ
dil ko chhūtī huī shā.irī mil ga.ī
tere milne se hum ko KHushi mil gai
yun laga ek nai zindagi mil gai
aap ke dam se hai zindagi zindagi
aap kya mil gae zindagi mil gai
hum to tanha chale the magar rah mein
mil gae ham-safar dosti mal gai
log tarikiyon mein bhaTakte rahe
dil jala kar hamein raushni mil gai
zar mila hai kisi ko kisi ko zamin
tere dar ki hamein bandagi mil gai
aap ka pyar jab se mila hai hamein
miT gae sare gham har KHushi mil gai
aur kya chahiye tere dar se hamein
dil ko chhuti hui shairi mil gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.