tere na aane se meri mahfil udas hai
tere na aane se mirī mahfil udaas hai
bahtā pa paanī ḳhuub hī sāhil udaas hai
mahbūb hogā qadmoñ meñ jo kahtā thā mujhe
aaya na kaam kuchh bhī vo aamil udaas hai
hamla kiyā thā us ne nigāhoñ ke vaar se
us par bhī jaane kyoñ mirā qātil udaas hai
tere baġhair sajnī guzārā nahīñ mirā
aa jaao mujh ko milne mirā dil udaas hai
naav meñ pyaar kī maiñ safar par gayā thā jab
pahuñchā nahīñ kināre to manzil udaas hai
mushkil hai ishq karnā mire yaar kuchh zarā
manzil ko sar kiyā thā to mushkil udaas hai
number na puure aa.e jo parche meñ dost ke
mehnat thā kaam jis kā vo qābil udaas hai
tere na aane se meri mahfil udas hai
bahta pa pani KHub hi sahil udas hai
mahbub hoga qadmon mein jo kahta tha mujhe
aaya na kaam kuchh bhi wo aamil udas hai
hamla kiya tha us ne nigahon ke war se
us par bhi jaane kyon mera qatil udas hai
tere baghair sajni guzara nahin mera
aa jao mujh ko milne mera dil udas hai
naw mein pyar ki main safar par gaya tha jab
pahuncha nahin kinare to manzil udas hai
mushkil hai ishq karna mere yar kuchh zara
manzil ko sar kiya tha to mushkil udas hai
number na pure aae jo parche mein dost ke
mehnat tha kaam jis ka wo qabil udas hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.