tere nalon se koi badnam hota jaega
tere nāloñ se koī badnām hotā jā.egā
tū bhī ai dil morid-e-ilzām hotā jā.egā
mutma.in huuñ maiñ ki ho jā.egā sāmān-e-sukūñ
dard baḌhtā jā.egā ārām hotā jā.egā
vaj.h-e-nākāmī na hoñ ai dil tirī be-sabriyāñ
sabr se le kaam ḳhud har kaam hotā jā.egā
chhoḌ de ai dil tamannā zindagī kī chhoḌ de
tū halāk-e-gardish-e-ayyām hotā jā.egā
ham tahī-dastān-e-qismat mar ga.e pyāse to kyā
mai-kade meñ yūñhī daur-e-jām hotā jā.egā
iltifāt-e-nāz jo maḳhsūs thā mere liye
kyā ḳhabar thī rafta rafta aam hotā jā.egā
aib hai 'shākir' har ik ke sāmne arz-e-hunar
naam kī ḳhvāhish meñ tū badnām hotā jā.egā
tere nalon se koi badnam hota jaega
tu bhi ai dil morid-e-ilzam hota jaega
mutmain hun main ki ho jaega saman-e-sukun
dard baDhta jaega aaram hota jaega
wajh-e-nakaami na hon ai dil teri be-sabriyan
sabr se le kaam KHud har kaam hota jaega
chhoD de ai dil tamanna zindagi ki chhoD de
tu halak-e-gardish-e-ayyam hota jaega
hum tahi-dastan-e-qismat mar gae pyase to kya
mai-kade mein yunhi daur-e-jam hota jaega
iltifat-e-naz jo maKHsus tha mere liye
kya KHabar thi rafta rafta aam hota jaega
aib hai 'shakir' har ek ke samne arz-e-hunar
nam ki KHwahish mein tu badnam hota jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.