tere nam hain raushan raaten apne nam andhere hain
tere naam haiñ raushan rāteñ apne naam añdhere haiñ
saarī ḳhushiyāñ ab terī haiñ jo ġham haiñ vo mere haiñ
jhūT-mūT ke in ḳhvāboñ se āñkhoñ ko barbād na kar
ḳhvāb ko ḳhvāb hī rahne de bas mere haiñ na tere haiñ
makr-o-riyā kī ye duniyā bhī dekho biin bajātī hai
un rāhoñ pe tum mat jaanā jin rāhoñ pe sapere haiñ
koī to hai jis se milne kī aas abhī tak baaqī hai
kaun hai is tapte sahrā meñ kin yādoñ ke basere haiñ
baat baat par zulmat-e-shab kā mātam karnā Thiik nahīñ
un āñkhoñ kī bāteñ karnā jin āñkhoñ meñ savere haiñ
tere nam hain raushan raaten apne nam andhere hain
sari KHushiyan ab teri hain jo gham hain wo mere hain
jhuT-muT ke in KHwabon se aankhon ko barbaad na kar
KHwab ko KHwab hi rahne de bas mere hain na tere hain
makr-o-riya ki ye duniya bhi dekho bin bajati hai
un rahon pe tum mat jaana jin rahon pe sapere hain
koi to hai jis se milne ki aas abhi tak baqi hai
kaun hai is tapte sahra mein kin yaadon ke basere hain
baat baat par zulmat-e-shab ka matam karna Thik nahin
un aankhon ki baaten karna jin aankhon mein sawere hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.