tere nam se wahshat hai be-zari hai
tere naam se vahshat hai be-zārī hai
na milne kī apne aap se baarī hai
haar siñghār kī sharteñ puurī kar Dālīñ
ā.īna ke rone kī tayyārī hai
girya girya sab tasvīreñ merī haiñ
qarya qarya rone meñ sarshārī hai
safar kī saarī dhuul amānat hai us kī
ḳhaak aur hijrat meñ us kī dildārī hai
ham ne apnā ishq-e-nasheman phūñk diyā
shāḳh pe ab ye kaisī āh-o-zārī hai
qātil aur maqtūl se merā rishta hai
is mātam meñ thoḌī sī dushvārī hai
tere nam se wahshat hai be-zari hai
na milne ki apne aap se bari hai
haar singhaar ki sharten puri kar Dalin
aaina ke rone ki tayyari hai
girya girya sab taswiren meri hain
qarya qarya rone mein sarshaari hai
safar ki sari dhul amanat hai us ki
KHak aur hijrat mein us ki dildari hai
hum ne apna ishq-e-nasheman phunk diya
shaKH pe ab ye kaisi aah-o-zari hai
qatil aur maqtul se mera rishta hai
is matam mein thoDi si dushwari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.