tere nazdik hi har-waqt bhaTakta kyun hun
tere nazdīk hī har-vaqt bhaTaktā kyuuñ huuñ
tū batā phuul ke jaisā maiñ mahaktā kyuuñ huuñ
maiñ na rātoñ kā huuñ jugnū na koī taara par
us kī āñkhoñ meñ magar phir bhī chamaktā kyuuñ huuñ
us pahelī kā koī hal to batāo yaaro
hijr kī rātoñ meñ ātish sā dahaktā kyuuñ huuñ
ghar banāyā hai tire dil meñ usī din se sanam
saarī duniyā kī nigāhoñ meñ khaTaktā kyuuñ huuñ
hāsidoñ ko baḌī tashvīsh hai is kī jānam
ban ke dhaḌkan maiñ tire dil meñ dhaḌaktā kyuuñ huuñ
jab tujhe mujh se mohabbat nahīñ ye batlā de
qatra qatra tirī āñkhoñ se Tapaktā kyuuñ huuñ
tere nazdik hi har-waqt bhaTakta kyun hun
tu bata phul ke jaisa main mahakta kyun hun
main na raaton ka hun jugnu na koi tara par
us ki aankhon mein magar phir bhi chamakta kyun hun
us paheli ka koi hal to batao yaro
hijr ki raaton mein aatish sa dahakta kyun hun
ghar banaya hai tere dil mein usi din se sanam
sari duniya ki nigahon mein khaTakta kyun hun
hasidon ko baDi tashwish hai is ki jaanam
ban ke dhaDkan main tere dil mein dhaDakta kyun hun
jab tujhe mujh se mohabbat nahin ye batla de
qatra qatra teri aankhon se Tapakta kyun hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.