tere pas hun par tujhse aman ka Dar hai
tere paas huuñ par tujh se amaan kā Dar hai
ishq ho rahā hai ab ya.anī jaan kā Dar hai
ḳhāmushī bhī dil meñ kuchh is tarah se hai qaa.em
maano lafzoñ ko mere ab zabān kā Dar hai
ab yahāñ qayāmat kā to nahīñ hai koī Dar
par jahān ko to ḳhud is jahān kā Dar hai
Dar to har kisī ko lagtā hai jañg se ya.anī
Dar vahī hai tīroñ kā jo kamān kā Dar hai
sādgī se Dhak bhī lūñgā maiñ ḳhāmiyāñ apnī
sādgī ko bhī merī par gumān kā Dar hai
tere pas hun par tujh se aman ka Dar hai
ishq ho raha hai ab yani jaan ka Dar hai
KHamushi bhi dil mein kuchh is tarah se hai qaem
mano lafzon ko mere ab zaban ka Dar hai
ab yahan qayamat ka to nahin hai koi Dar
par jahan ko to KHud is jahan ka Dar hai
Dar to har kisi ko lagta hai jang se yani
Dar wahi hai tiron ka jo kaman ka Dar hai
sadgi se Dhak bhi lunga main KHamiyan apni
sadgi ko bhi meri par guman ka Dar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.