tere pahlu mein ji rahi thi kabhi
tere pahlū meñ jī rahī thī kabhī
zindagī merī zindagī thī kabhī
bārishoñ par mirī na jaao tum
aag andar kahīñ lagī thī kabhī
yaad kar ke maiñ hañs rahī huuñ aaj
maiñ bhī tere liye dukhī thī kabhī
vo bhī din the ki maiñ yahī duniyā
terī āñkhoñ se dekhtī thī kabhī
yaad hogā abhī talak tujh ko
maiñ bhī terī hī zindagī thī kabhī
mujh ko qaa.il na kar dalīloñ se
maiñ bhī taqdīr se laḌī thī kabhī
ab kabhī muḌ ke dekhtī hī nahīñ
dil kī dahlīz pe khaḌī thī kabhī
tere pahlu mein ji rahi thi kabhi
zindagi meri zindagi thi kabhi
barishon par meri na jao tum
aag andar kahin lagi thi kabhi
yaad kar ke main hans rahi hun aaj
main bhi tere liye dukhi thi kabhi
wo bhi din the ki main yahi duniya
teri aankhon se dekhti thi kabhi
yaad hoga abhi talak tujh ko
main bhi teri hi zindagi thi kabhi
mujh ko qail na kar dalilon se
main bhi taqdir se laDi thi kabhi
ab kabhi muD ke dekhti hi nahin
dil ki dahliz pe khaDi thi kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.