tere palaT aane se dil ko aur ek sadma hua
tere palaT aane se dil ko aur ik sadma huā
vo naqsh ab baaqī kahāñ jo thā terā chhoḌā huā
yuuñ aaj ā.īne se mil kar jism sannāTe meñ hai
ik aur hī chehra thā is meñ kal talak hañstā huā
donoñ kahīñ mil baiTh kar bah jaa.eñ pal bhar ke liye
is vaqt se haT kar ke ho dariyā koī bahtā huā
mashkūk āñkhoñ se nikalte haiñ bichhaḌne ke sile
tū soch le mil jā.ūñgā maiñ to yahīñ Thahrā huā
shā.ir kahāñ thā sirf thā jazbāt kā tāj-e-tapish
sāhil kī sūkhī ret meñ aksar yahī charchā huā
tere palaT aane se dil ko aur ek sadma hua
wo naqsh ab baqi kahan jo tha tera chhoDa hua
yun aaj aaine se mil kar jism sannaTe mein hai
ek aur hi chehra tha is mein kal talak hansta hua
donon kahin mil baiTh kar bah jaen pal bhar ke liye
is waqt se haT kar ke ho dariya koi bahta hua
mashkuk aankhon se nikalte hain bichhaDne ke sile
tu soch le mil jaunga main to yahin Thahra hua
shair kahan tha sirf tha jazbaat ka taj-e-tapish
sahil ki sukhi ret mein aksar yahi charcha hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.