tere qaul-o-qarar ki baaten
tere qaul-o-qarār kī bāteñ
kuchh nahīñ e'tibār kī bāteñ
aap kā muñh hai varna ham sunte
dushman-e-bad-shi.ār kī bāteñ
puurā karnā na karnā va.ade kā
haiñ tire iḳhtiyār kī bāteñ
dekhne ko to bhole-bhāle ho
haiñ magar hoshiyār kī bāteñ
kaam tere daġhā fareb ke kaam
bāteñ īmān-dār kī bāteñ
aap kī bāteñ ai safī'-sāhab
sab kī sab haiñ ḳhumār kī bāteñ
tere qaul-o-qarar ki baaten
kuchh nahin e'tibar ki baaten
aap ka munh hai warna hum sunte
dushman-e-bad-shiar ki baaten
pura karna na karna wade ka
hain tere iKHtiyar ki baaten
dekhne ko to bhole-bhaale ho
hain magar hoshiyar ki baaten
kaam tere dagha fareb ke kaam
baaten iman-dar ki baaten
aap ki baaten ai safi'-sahab
sab ki sab hain KHumar ki baaten
- Book : Kulliyat-e-Safi (Pg. 173)
- Author : Safi Auranjabadi
- Publication : Urdu Acadami Hayderabad (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.